Just so that this particular piece of poetry doesn't get lost in time, I wanted to put it up in the blogosphere. Please bear with me. I don't think I will ever write poetry again so criticize all you want.
Pehlay Kee Tarhan
Kya ab bhee mujhay ho chahti, pehlay kee tarhaan
Mujhay dekh kay ho sharmaati, pehlay kee tarhaan
Mein sab ko batata hoon apnay ishq kee daastaan
Tum ab bhee ho chupaati, pehlay kee tarhaan
Mein nay tumhein chaha, tum nay mujhay chaha
Phir ehsaan kyon ho jatati, pehlay kee tarhaan
Kya ab bhee raat ko batti nahi bujhaati
Kya ab bhee ho ghabraati, pehlay kee tarhaan
Mein nay tou chaaha rakh loon dil mein chuppa kay tum ko
Tum ab bhee nahin samaati, pehlay kee tarhaan
Tumhein bhoolnay kee koshish raaigaan hee challi gayee
Mujhay yaad ho ab bhee aati, pehlay kee tarhaan
Tumhein chorr chala jaaon ga, mazaqqan kaha tha mein nay
Par ho na tum jazbati, pehlay kee tarhaan
Tum hee ko mein hoon chahta, tum hee ho meray dilbur
Tum hee ho mujh ko bhaati, pehlay kee tarhaan
Meri baaton pay na jaana, mein ho gaya deewana
Sach mein ho yaad aati, pehlay kee tarhaan
Tumhein bhool jaaon jaana tumhee nay tou kaha tha
Ab kyon ho yaad aati, pehlay kee tarhaan
Ek Umr~ beeth gayee hay tum hee ko chahtay chahtay
Meri nafs hee hay bataati, pehlay kee tarhaan
I wouldn't want to change anything nor criticize because I like the way you have captured your feelings into this poem. :) I like it!
ReplyDeleteThat's actually pretty sweet! :)
ReplyDelete"Mein sab ko batata hoon apnay ishq kee daastaan
ReplyDeleteTum ab bhee ho chupaati, pehlay kee tarhaan"
Wah mere wasi zafar, agar ye izhaar-e-fun jaari rahta tu tum "kash main tere haath ka kangan hota" pehlay likh dete. Jaate jaate aap ki behar ki nehar main aik ghota main bhi laga loon, arz kya hai:
Saba ik zamanay se sharm se chali hi nahi
Kya tum ab bhi nahi nahati, pehlay ki tarah
aadab arz hai.
i stumbled upon this a few days back only.. had a print out of this with me...
ReplyDeletePehlay ki terhaan....
Why would you never write poetry again? You should!
ReplyDeleteAwww, that's so sweet. :)
ReplyDeletewaah!
ReplyDeletetu phir kyun ap shairi nahi kerte pehle ki tarha?
I like it :)
ReplyDelete[...] from the previous post with the same topic, I found one more piece of my poetry which I really like myself also. [...]
ReplyDelete